humney azadi ke baad kya kya hasil kiya,,
bookh abhi tak miti nahin,
pyas kisi ki bujhi nahin,
...
sapney purey hue nahin,
khaab adhorey hain abhi,,
manzil abhi pata nahin,
rastey abhi dikhey nahin,
josh abhi baki hai,
bhookh abhi miti nahin
pyas abhi bhuji nahin
desh kahan jaa raha
yuva kahan bhatak raha
neta abhi 'haavi' hain
...
janta abhi tak pis rahi
ankh moond karr gumm hai
haath bandhey hai khadi
hooth siye chal rahi
mehgayee ki chakki mein pis rahi
'rajneeti' ki aag mein jal rahi
bookh abhi miti nahin,
pyas abhi bhuji nahin
kahtein hain taraki bahut ki hai hindustan nein
rocket udney laagey hain asman mein,
bomb bana rahe hain hum
...
sir utha rahe hain hum
race mein aage hi aage daud rahe hain hum
china aur bartania ko bhi peechey chod rahein hain hum
pur bookh abhi miti nahin
pyas abhi bhuji nahin
aaj bhi tabah ho rahein hain hum
pani se lad rahe hain hum
aag se dar rahein hain hum,
...
rishwat se aage bad rahein hain hum
sar jhuka kar lad rahein hain hum
desk ke veeron ko kurbaan kar rahein hain hum
desj ki izzat ko nilaam kar rahein hum
padosi ke dar rahe hain hum
desh ko barbaad kar rahein hai hum
No comments:
Post a Comment